ZIARAT -E- ASHURA
BENIFITS OF ZIARAT-E-ASHURA:
Hazrat Imam Jaffer-e-Sadiq (AS) ne Safwaan se farmaya:
" Ae safwaan is ziarat ko aur dua ka parhna apna shewa banalo aur isi tarah ziarat kia karo. pas zaroor mai zamin hu Khuda ke janib se har us shaks kay lie jo is tarah ziarat parhay aur is tarah dua karay duur ya nasdeeq se tu is ki ziaraat qabool huge aur is ka salaam HAZRAT (AS) tak paunchay ga.
Aur na maqbool na huga aur jab bhi wo khuda say hajat talab karay ga wo puri huge "
Phir App (AS) ne farmaya:
" Ae Safwaan mai ne is zammant kay saath yeh ziaraat walid-e-girami IMAM ALI-IBN-AL HUSSAIN (AS) se suni, unhoonay ne is zamaanat kay saath apnay wali IMAM HUSSAIN(AS) se , unhoonay isi zammant kay saath apnay walid Buzrugwar AMEER-UL-MOMINEEN (AS) se , unhoonay ne usi zammaant ke saath JANAB RASOOL ALLAH (SAW) se , unhoonmay isi zammant ke saath jibraeel se aur jibraeel ne usi zammanat kay saath yeh ziarat Khuda wande Alam se suni kay Yaqeenan Haq Talah ne apni zaate muqadas ki kasam khai hai kay jo shaks yeh ziarat parh kar IMAM HUSSAIN (AS) ki ziarat karay duur ya nasdeeq se phir yehi dua parhay tu mai is ki ziaraat qabool karoga, Is ki har talab puri Karoga, Woh jitnay be hon, us ka sawaal puray karoga aur meray bargah mai mayus-o-naqaam nahe paltay ga balqay woh Roshan wapis jayega kay uski hajat rawa huchuke huge, woh hussol-e-janat mai kamyaab aur jahanum se azaad huga. mai uski shafaat qabool karoga siwaye dushman-e-ahl-e-bayat ke wo jis jay bhi haq mai dua kare ga. "
Phir safwaan ne kaha IMAM JAFFER SADIQ (AS) ne mughse farmaya:
" Ae Safwaan, jab bhi tughe koi hajat bargah-e-Elahi mai dar paish hua karay kay jis jagah par bhi hu tun yeh ziarat aur yeh dua parha karo phir hahat bhi khuda se talab karo tu woh puri hugaye ge
Khuda talah ne apnay HABIB (SAW) se ata-o-baqshish ka jo wada kar rakha hai wo is kay khilaf nahe karay ga.
Aik aur hadees mai HAZRAT IMAM-E-ZAMANA (AS) ka farmaan naqal hua hai , jis mai APP (AS) ne farmaya :
" Tum ziaraat-e-ashoora kyu nahe parhtay ho , Ashura Ashura Ashura ......... "
Lehaza is kay ilawa ziaraat-e-ashoora ke beshumaar fawahid hain, momineen aur mominaat is ko parh kar hasil karsaktay.
Ziarat-e- Ashura yeh hai:
URDU TRANSLATION:
Khuda-e-rehman kay naam se shuru karta hoon.
Salaam ho app par ya Abu-Abd Allah.
Salaam ho app par Ae Farzand-e-Rasool Allah (SAW)
Salaam ho app par Ae Ameer-ul-Momineen (AS) aur Syed-ul-Momineen (AS) kay Farzand
Salaam ho app par Ae-Aleemeen ki Khawateen ki Sardar Fatima Zehara (SA) kay Farzand
Salaam ho app par Ae wo Shaheed rah-e-Khuda jis kay khoon ka inteqam parwardigar kay zimay hai aur jo tanha reh gaya tha.
Salaam ho app par aur un Arwah par jinhonay App (AS) kay jawaar mai kayam kia.
App (AS) sab par hamesha parwardigar ka salaam.
Jab tak mai baqi raho aur shab-o-roz baqi rahay
Ya-Abd Allah! Yeh hadsa bara azeem hai aur yeh museebat bari jaleel aur azeem hai.
Hamaray lie aur tamaam ahl-e-Islam kay lie
App (AS) ki museebat jaleel aur azeem hai asmano mai tamaam asmaam walo kay lie.
Tu Allah lanat karay us qom par kis ne app Ahl-e-bayat (AS) pat zulm aur jor ki bunyaad dali.
Aur Allah lanat karay us qom par jis ne App (AS) ko app ke muqaam se hata dia.
aur us martabay se gira dia jis par khuda ne App (AS) ko rakha tha.
aur Allah lanat karay us umat par jis ne App (AS) ko qatal kia
aur lanat karay us qom par jis ne un zalimo kay lie App (AS) se jang karnay ki zameen hamwaar ki hai
mai khuda aur App (AS) ki bargha mai in sab se baraat karta hu
aur un ke pairokaro aur chahanay walo aur iteba karnay walo se
Ya Abad Allah! mai App (AS) se sulha karnay walo kay lie sarapa sulha aur App (AS) se jang karnay walo kay lie qayamat tak sarapa jang ho.
aur Allah lanat karay aal-e-ziyad aur aal-e-marwaan par
aur lant karay tammam bani umiya par aur lanat karay ibn-e-marjana ( ibn-e-ziyad) par
aur lanat kar umar-bim-sad aur lanat karay shimar par aur lanat karay is qom par jis ne zen kisa aur lagaam lagai aur naqaab pehni App (AS) se jang karnay kay lie
App (AS) par meray Maa baap qurbaan
App (AS) ki museebat meray liee bohat azeem hai
mai us khuda se sawaal karta hu jis ne App (AS) ke muqaam ko mahutram banaya hai aur App (AS) ki waja se mughe bhi izzat de hai
kay mughe naseeb kay App (AS) kay dusmano se inteqam us IMAM (AS) ke saath jis ke nusrat wada kia gaya hai Paigambar-e-Islam (SAW) kay ahl-ebayt (AS) mai say
Khudaya mughe ipni bargha mai Aabru mand qaraar de Hussain (AS) kay sadqay mai dunya-o-akhirat mai
Ya Abad Allah! mai Allah ki taraf, Rasool akram (SAW) aur Ameer-ul-Momineen (AS) ki taraf, Janab-e-Fatima (AS) aur Imam Hassan (AS) ki taraf aur App (AS) ki taraf taqarab chahata hu.
App(AS) ki muhabbat aur App (AS) ke qatilo aur dushmano se baraat ke zarye aur un se bezaari kay zaryee jinhonay app par zulm-o-jor ki bunyaad rakhi hai.
Mai khuda aur Rasool (SAW) ki bargha mai bezaar hu un tamaam logo se jinhonnay Zulm ki bunyaad rakhi ya us ki emaarat tayaar ki.
Aur App(AS) par aur App (AS) kay chahanay walo par zulm-o-jor ka silsila jari rakha.
Mai khuda aur App (AS) ki bargha mai izhaar-e-baraat karta hu
Un sab se aur khuda ki bargha mai aur phir App(AS) ki jannab mai taqarub chahata hu.
App(AS) aur APP(AS) kay dostoon ki muhabbat ke zarye aur App(AS) ke dusmanoo aur APP (AS) say jang karnay walo se bezaari kay zaryie aur phir un sab ke iteba aur pairo-o-karo se bezarri kay zaryiee.
Mai sarapa sulha hu us kay lie jo APP (AS) se sulha rakhay aur sarapa jang hu us kay lie jo APP (AS) se jang karay
Mai APP (AS) kay dostoon ka dost aur APP (AS) kay dusmanoo ka dushman hu.
Meri iltemaas us Mabood se hai jis ne APP (AS) ki maarfat aur APP (AS) ke dostoon ke maarfat se nawaza hai
aur APP (AS) ke dushmano say baraat ke taufeeq de hai
kay mughe dunya aur akhirat mai APP (AS) kay saath karrar de dunya-o-akhirat mai APP (AS) ki bargha mai sabit-qadam aur meri dua hai kay mugh APP HAZRAAT (AS) kay muqaam-e-mehmood tak paunchade
aur mughe naseeb karay APP (AS) ke khoon ka inteqam us IMAM HADI (AS) kay saath mil kar lenay ka jo APP HAZRAAT (AS) ke haq ka elaan karne wala hai .
Aur mai parwaardigar se sawaal karta hu APP (AS) kay haq aur us ki barghah mai APP (AS) ki shaan ka wasta de kar kay mughe is museebat mai us se behtar ajar ata karay jo kisi bhi sahib-e- museebat ko ata kia hai.
Yeh Museebat kis kadar azeem hai aur is ka hadsa kis qadar jaleel hai, Islam mai aur tamman asmaano aur zameen mai.
Khudaya mughe us manzil mai un logo mai qaraar de jin tak teri salwaat aur rehmaat aur magfiraat paunch nay wali hai.
Khudaya meri zindagi ko Muhammad (SAW) -o- Aal-e-Muhammad (SAW) ki zindagi aur meri maut ko Muhammad (SAW) -o- Aal-e-Muhammad (SAW) jaisi maut karaar de.
Khuya yeh woh din hai jisay bani-umaiya aur jigar khaura ki aulaad ne roz-e-barkaat karaaar dia tha jin mar tune aur teray Paigambar (SAW) ne lanat ki hai.
Har muqaam, har manzil aur har mauqaf mai jeha teray Paigambar (SAW) ne waqoof kia.
Khudaya Abu-sufyan, Mawiyam, Yazeed-bin Mawiya par lanat kar aur in sab par teri lanat hu hamesha hamesha
Aur yeh wo din hai jis me aal-e-ziyad aur aal-e-marwaan ne khushi manaye kay Rasool(SAW) ke nawasay Hussain (AS) ko qatal kardia hai
Khudaya in ( aal-e-ziyad aur aal-e-marwaan) par apni taraf se lanat mai ziyaadti kar aur azaab mai
Ae Parwardigar beshak mai tera Qurb chahata hu us din aur apnay us mauqaf mai aur zindagi ke dino mai in ( aal-e-ziyad aur aal-e-marwaan) say bezaari kay saath aur in par lanat kay saath aur teray NABI (SAW) aur un ki AAL (AS) se muhabbat ke saath.
Salaam hu Teray NABI (SAW) par aur un ki AAL PAK (AS)
Ahl-e-Bayt kay Dusmanoo Par Lanat ( 10 Times) :
Khudaya Lanat kar pehlay zalim par jis ne Muhammad (SAW) -o- Aal -e-Muhaamad (SAW) par zulm kia.
Aur akhri fard par jo in ka us rah mai intebah karay.
Khudaya lanat kara us groh par jis ne HUSSAIN (AS) se jang ki aur un ke qatal ke liee zalimo ka intebah kia aur in ki biyat ki.
Khudaya in sab par lanat nazil kar.
Shaudaye Karbala Par Salaam ( 10 Times ) :
Salam hu app par Ya-Aba-Abd Allah (AS).
Aur un arwaho par jo App (AS) kay saath muqeem hai.
Meri taraf se App (AS) par Allah ka salaam jab tak mai zinda raho.
Aur jab tak din raat baqi rahay.
Allah is ziyarat ko App (AS) ki bargha mai akhri hazri na qaraar ne.
Salaam hu HUSSAIN (AS) par , aur ALI - IBN - HUSSAIN (AS) par , aur AULAD-E-HUSSAIN (AS) par aur ASHAB-E-HUSSAIN (AS) par.
JUMLA QATILAN-E-HUSSAIN (AS) PAR LANAT :
Khudaya meri lanat ko muqsoos karde us pehlay shaks se jis ne zulm kia.
Us se ibteda kar phir dosray, Teesray , Choothay par lanat
Khudaya Paanchwe marhelay par Yazeed par lanty kar
aur phir Ubaid-Ullah-Bin Ziyad par lanat kar
aur Umar-Bin-saad par lanat kar
Aur abu-Sufyan, Ziyad, Marwaan ki aulaad par lanat kat qayamat tak.
Dua-e-Sijda:
Khudaya teray lie hamd hai.
Wo hamd jo shukar guzar log masahib mai kia kartay hai.
Shukar hai parwardigaar ka is museebat par bhi
Khudaya mughe HUSSAIN(AS) ki shafayat naseeb kar jab teri bargha mai hazir hu,
aur mughe apni bargha mai sabit qadam anayat farma IMAM HUSSAIN (AS) aur un ke un ASHAAB ke saath jinhoonay apni janne qurbaan Kardi HUSSAIN (AS) ke huzoor me.
2 Rakat Namaz:
Pehli Rakat mai Surah- Al Hamd ke baad Surah-e- Qadar
Dosri Rakat mai Surah- Al Hamd ke baad Surah-e-Ikhlas (TAUHEED)
Baad-e-Namaz Yeh Dua Parhe:
Ae Allah me ne yeh Do- Rakateen Namaz HAZRAT IBE-IBAD- ALLAH Al-HUSSAIN (AS) ki Roh-e-Muqadas ko hadya paish karnay ke garz se parhi hai
Tu qabool farma ke mughe is ka agar ata farma aur meray sawaab ko IMAM HUSSAIN (AS) ki paak-o-Pakeeza Roh ko hadya pauncha de.
(AMEN)
11 comments:
MashaALLAH (jjh)
Mashallah
Slaam . ap sy pochna tha k zyarat ka pora amal ka treeqa bta dain . kaisy perhni ha. Kya aik dua mangty hain bs yan jitni marzi?
MashaAllha
Allaha ham sab ko karbala ke ziyarat Nasir kara ameen.
Masha Allah for Ziarat Ashura Urdu Translation
Allah ham sub ko karbala ke ziyarat nasir kara ameen
App sab mil kar dua kegya ke mera dada theek ho jaay
2 rakat namaz parhen hadya imam hussain fr niyat kren ziarat e ashura ki fr wo parhen jaise likhi hui ha waise e download krlen usme sb likha fr dua mange sbse phle tmam momin moninaat k lie fr aziz o aqarab k lie fr ahlo aayaal k lie or end me apne lie dil me mange jo sbse zda khwaish hogi dil ki wo puri hogi. 40 days kren
Urdu mein he recite karein na bcz arabi nahi ati
Bhai Abhe Ap k dada k Tbeat Kasi ha If U Don't Mind ♥️
Post a Comment